New Download Nohy | SMS

Ramzan Mubarak

Yadekal khair

0 comments

Yadekal khair
Nadeem Sarwar - 2010

ya hussain ya hussain

haaye aseer qaafela darbaare shaam jab aaya
yazeed zainabe kubra se yun huwa goya
lo aaj raaz wa to izzo man tasha ka khula
ke ba weqaar huwa kaun kaun hai ruswa
o bad kalaam theher
o bad kalaam theher boli zainabe kubra
nashe me mast aayat ye puri sab ko suna
wo haath khair ka hai kaun mujh ko ye to bata
ke jis se zillat o tauqeer baant ta hai khuda
wo haath tu hai ke ham
wo haath tu hai ke ham ehle bayt hain us ke
ham hi hain izzat o zillat ke baant ne waale

yadekal khair bhi ham
rabbe kaaba ki qasam
unhi haathon me rasan
sare darbaare sitam

zainabi lehje me aawaaze ali gunj uthi
zulm aur jabr ke darbaar me bijli si giri
laayeqe hamd hai jisne hame izzat bakhshi
sura e room se shahzaadi ne aayat ye parhi
jo burhe the so burha
jo burhe the so burha unka hi anjaam huwa
jis ne qur'aan ko juthlaaya wo naakaam huwa

No comments:

Pakistan Urdu Written Nohy, Rubayat, Majlis ,Shia Sms Service ,AhleBait_as Poetry Islami Books and much more to join us.